Sampoorna Durga Chalisa

October 15, 2018 More
Sampoorna Durga Chalisa


Durga Chalisa
Namo Namo Durge Sukh Karani, Namo Namo Ambe Dukh Harani||
Nirakar Hai Jyoti Tumhari, Tihoun Lok Phaili Uujiyaari||

Shashi Lalaat Mukh Maha Vishala, Netra Lal Bhrikoutee Vikaraala||
Roop Maatu Ko Adhik Suhaave, Darshan Karata Jana Ati Sukh Paave||

Tum Sansar Shakti Laya Keena, Palana Hetu Anna Dhan Deena||
Annapoorna Hui Tu Jag Pala, Tumhi Aadi Sundari Bala||

Pralayakala Sab Nashana Haari, Tum Gouri Shiv Shankar Pyari||
Shiv Yogi Tumhre Gun Gaavein, Brahma Vishnu Tumhein Nit Dhyavein||

Roop Saraswati Ka Tum Dhara, Day Subuddhi Rishi Munina Ubara||
Dharyo Roop Narsimha Ko Amba, Pragat Bhayi Phaad Ke Khamba||

Raksha Kari Prahlad Bachaayo, Hiranyaykush Ko Swarga Pathayo||
Lakshmi Roop Dharo Jag Maahin, Shree Narayan Anga Samahin||

Ksheer Sindhu Mein Karat Vilaasa, Daya Sindhu Deejey Man Aasa||
Hingalaja Mein Tumhi Bhavani, Mahima Amit Na Jaat Bakhani||

Matangi Aru Dhoomawati Mata, Bhuvaneshwari Bagala Sukhdata||
Shree Bhairav Tara Jag Tarani, Chhinna Bhala Bhava Dukh Nivarini||

Kehari Vahan Soha Bhavani, Laangur Veer Chalata Agavani||
Kar Mein Khappar Khadaga Virajay, Jako Dekh Kaal Dar Bhajey||

Sohe Astra Aur Trishula, Jase Uthata Shatru Hiya Shoola||
Nagarkot Mein Toumhi Virajat, Tihoun Lok Mein Danka Baajat||

Nagarkot Mein Toumhi Virajat, Tihoun Lok Mein Danka Baajat Shumbh||
Nishumbh Daanuv Tum Maare, Rakta Beej Shankhana Sanghaare||

Mahishasur Nrip Ati Abhimaani, Jehi Agh Bhar Mahi Akulaani||
Roop Karaal Kali ka Dhara, Sen Sahita Tum Tihin Samhara||

Pari Gaarh Santana Par Jab Jab, Bhayi Sahay Matou Tum Tab Tab||
Amarpuri Arubaa Sab Lokaa, Tab Mahima Sab Kahey Ashoka||

Jwala Mein Hai Jyoti Tumhari, Tumhein Sada Poojey Nar Nari||
Prem Bhakti Se Jo Yash Gave, Dukh Daridra Nikat Nahin Aave||

Dhyaave Tumhein Jo Nar Man Layi, Janma Maran Tako Chhouti Jaayi||
Yogi Sur Muni Kahat Pukaari, Yog Na Hoye Bina Shakti Tumhari||

Shankara Acharaj Tap Ati Keenho, Kaam Krodh Jeet Sab Leenho||
Nishidin Dhyan Dharo Shankar Ko, Kaahu Kaal Nahin Soumiro Tumko||

Shakti Roop Ko Maram Na Payo, Shakti Gayi Tab Man Pachitayo||
Sharnagat Huyi Kirti Bakhaani, Jai Jai Jai Jagadambe Bhavani||

Bhayi Prasanna Aadi Jagadamba, Dayi Shakti Nahin Keen Vilamba||
Maukon Maatu Kashta Ati Ghero, Tum Bin Kaun Harey Dukh Mero||

Asha Trishna Nipat Satavein, Ripu Moorakh Mohe Ati Darpaave||
Shatru Nash Kijey Maharani, Soumiron Ikchit Tumhein Bhavani||

Karo Kripa Hey Maatu Dayala, Riddhi Siddhi Dey Karahou Nihaala||
Jab Lagi Jiyoun Daya Phal Paoun, Tumhro Yash Mein Sada Sounaoun||

Durga Chalisa Jo Nar Gaavey, Sab Sukh Bhog Parampad Pavey||
Devidas Sharan Nij Jaani, Karahoun Kripa Jagadambe Bhavani||||

0 comments:

Post a Comment

Need an Invite?

Want to attend the wedding event? Be our guest, give us a message.

Name Email * Message *

Our Location

10/slider-recent